Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye, aap hume kitnaa yaad aate hai….
Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye, aap hume kitnaa yaad aate hai….
aaj bhi patthar bankar khade hai usee mod par,
tumne jahaa chodaa thaa kehkar, ruko hum aate hai…
Yaad hai ab bhi hume,tere bichadne ka samaa,
Ruk gaye the ek pal ko ye zameen-o-aasmaan,
Raasto se mit naa paaye, tere kadmo ke nishaan,
Aaj bhi hum raaho pe palko ko bichaate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Meri aankho me nami zulfo ki barsaato ki hai,
Meri saanso me mehek guzri hui raato ki hai,
Mere hoto pe chamak,ab bhi teri baato ki hai,
Jitnaa unko bhulaana chaahe,aur bhi yaad aate hai
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Tu nahi to kyaa huaa,parchaai teri mil gayi,
Dilke viraaneme jaise ek kali si khil gayi,
Raasteki dhoop jaise chandni me dhal gayi,
Tere aanchal ke saaye baadal banke lehraate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Aaj bhi patthar bankar khade hai usee mod par,
Tumne jahaa chodaa thaa kehkar,ruko……….
Tuesday, August 5, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment