Thursday, August 14, 2008

HindustaaN Hamara


Hai hamein apne jaaN se bhi badhkar
ye hindustaaN hamara
Ye pyara sa aashiyaana
ye gulsitaaN hamara

Dil mein yu to badi khushi hai
aankho mein hai fir bhi aansoo
wo guzara hua zamana
wo sahido ka fasana
khaaye the jinhone
apne seene pe hazaro zakham
unko yaad kar k aaj fir
main bhoola muskurana
aazaadi hamein dilaayi
dilaya hamein hindustaN hamara
ye pyaara sa aashiyana
ye gulsitaaN hamara

hoti hai din ki suruaat yaha
mandir aur masjido se
wo azaan ki aawaze
wo ghantiyo ki gunje
lagti hai badi meethi-2
jaise ho koi pyar ka taranaa
uthte hai haath yaha ibaadat ko
ya dushmano k aage
hai ye mere vatan ka fasana
hindu aur muslim hai
phool ish jahaaN k
ye pyaara sa aashiyana
ye gulsitaaN hamara

Ye hai kurbaaniyo ki bhoomi
khoon se sincha hai ise sahido ne
aati hai is ki mitti se saundi-2 khushboo
yuhi mehakta rahe chaman sada ye hamara
ye pyaara sa aashiyana
ye gulsitaaN hamara

POEM FOR INDEPENDENCE DAY


My sister and I became obsessed with roots –

a time before pantyhose and wrinkle-free suits,

when families could own their own stores,

and feel themselves owners while sweeping the floors.

Success could be gotten by working long hours

in jobs that rode seasons like perennial flowers;

first the winter night for planning, then riotous spring

to summer’s daily green and autumn’s dry seeding.

Sleep followed by day, a cycle that will repeat.



But when in Vermont, my sister and I, our eyes meet,

saying what we cannot say. We can’t read the names

on our ancestors’ tombstones, from time or acid rain

we cannot tell. Technology less blight than attitude;

we usurp ourselves, we, who should

rip ourselves from the ground to fly.

But, ironically, dreams are why we die.

Today I photograph the blank, marble screens

where my sister and I see ourselves reflected, between

illegible tableaux of a family lashed together

for reasons long forgotten, and the unpredictable weather

of our lives, where we dash rootless and wet, my sister and I,

looking for affirmation in times gone by.

Friday, August 8, 2008

Ab Kay Hum Bitchre To Shayad

Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile

Apni hastee

apni hastee ka hota sabhi ko paas hai
apni apni nazar maen har koi khaas hai

voh khushi jiski yaas maen gum umr sari
gar sochho to vohi dil ke aaspaas hai

yun to sabhi apne apne safar ke musafir
par ek hamsafar ki har kisi ko aas hai

tishnagi badhne lagi deedaare-yaar ki
bujhti nahi jo kabhi ye voh pyaas hai

ladkhadati zubaan shikwaye-jaure-adoo
hota nahi hamse zore-tarke-ikhlaas hai

hoga jahaan maen qayam aman kis tarah
aadmi ko hi nahi aata aadmi raas hai

husno-ishq se pare aaj fikro-nazar meri
pehlu maen tere dil phir bhi udaas hai

behis hui jati hai "fer" aalame-zindagi
na khushi ab koi na ghame-ehsaas hai

khud hi sawaal

khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun maen
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun maen

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun maen
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun maen

kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun maen
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun maen

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun maen
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun maen

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun maen
bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun maen

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun maen
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun maen

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun maen
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun maen

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun maen

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun maen
haqiqat ho kar bhi kyon "fer" khwaab sa hun maen

Tuesday, August 5, 2008

Bohot hai…

Mujhay us shaks ki parwah bohot hai
Jo samjho to yehi rishta bohot hai

Wohi aik baat jo sab se chupai
Usi Ek baat ka charcha bohot hai

Meri khwaish kabhi puri na hogi
Mujhay is baat ka sadma bohot hai

Kisi ko bhoolna mumkin nahi hai
Warna hum ne to chaha bohot hai

Kahan tak aur mera saath dega wo
Pehle hi yahan vo ruswa bohot hai

Tere jaisa koi milta nahi hai
Tere jaisa magar dhoonda bohot hai

Chalo ab mout ka samaan kar lain
Keh jeena yahan mehenga bohot hai

Wo mere paas kab thehra hai GHALIB
Jo mere paas say guzra bohot hai …

Tu kahi bhi rahe..

Tu kahin bhi rahe sar pay tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakeeron mein mera naam to hai

Mujko tu apna banaa ya na bana teri khushi,
Tu zamanay me mere naam say badnaam to hai

Mere hissay me koi jaam na aaya na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai

Dekh kar log tujhey naam mera lete hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai

Woh sitamgar hi sahi dekhke usko ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaram to hai

Na kare…

Woh dil hi kia tere milne ki jo dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda rahon khuda na kare

Rahega sath tera Pyar zindagi ban kar
Yeh aur baat hai zindagi hi wafa na kare

Yeh theek hai nahi marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare

Agar wafa pe bharosa rahe na dunya ko
To koi shaks mohabbat ka hosla na kare

Suna hai mohabbat us ko duaain deti hai
Jo dil pe chot khaye magar gila na kare

Bujha diya hai naseebon ne mere pyar ka chand
Koi dia meri palkon pe ab jala na kare

Muskuraa liyaa karte hai…

Hum aapko in aankho me
Yu basaa liyaa karte hai…
Ja sake jahaa tak hamaari ye nazar,
Aapko har jagah paa liyaa karte hai…

Aapki yaado ki mehak se
Din guzaar liyaa karte hai…
Naa mil sake aapse kabhi to,
Aapki tasveer ko seene se lagaa liyaa karte hai…

Hum naa jaante the ke pyaar me
Itni tadap hoti hai…
Aapki yaad me kabhi tanhai me,
Aansu bahaa liyaa karte hai…

Deewangi ki had naa poocho humse
Kalam haath e jab thamte hai kuch kaam se…
Bas aapka naam likh likh ke,
Dil behlaa liyaa karte hai…

Ab laut bhi aao tum hamaari khaatir,
Ke aapki aas me hi har shaam guzaar liyaa karte hai…
Mayusi jab chaa jaati hai chehre pe
Yaad karke aapko,Hum yu hi muskuraa liyaa karte hai…

Kyu kehte ho…

Kyu kehte ho ki mujhse mohabbat nahi hai tumko,
Kyu dil ko mere tum beemaar karte ho,
Jo baat nigaahe keh rahi hai khud-b-khud,
Kyu usse labzo me tum inkaar karte ho…

Darte ho kis se,hai parwaah tumhe kiski,
Kis fikr me ye aalam bekaar karte ho,
Duniyaa to paraayi hai,ruswaa hi karegi,
Kyu uski khaatir khadi tum ye deewar karte ho…

Hai pyaar ka mausam yahaa,fizaaye bhi jawaan si,
Kyu dur se tum inkaa deedaar karte ho,
Gar mohabbat hai tumhe,keh kyu nahi dete,
Kyu tadpaate ho apne dil ko,laachaar karte ho…

Iqraar kar bhi lo ab,guzaarish hai meri tumse,
Kyu mere is dil ko beemar karte ho,
Mar kar bhi dikhaa denge tumhe,ek baar to keh do,
Kyu har pal bhalaa is dil pe yu vaar karte ho… ;)

Phir chale jaana…

Apni bewafai ka matlab bataado, phir chale jaana
Yaa fir wafaa ki kahaani sunaa do, phir chale jaana…

Jo mera aur tumhaara waqt guzra hasne rone me
Use poori taraah se tum bhulaado, phir chale jaana…

Ye saare manzar tum bin ek arsaa jaage hai
Tum aake ek baar inhe sulaado, phir chale jaana…

Kisiko chahne ka aur kisi se chahe jaane ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulaado, phir chale jaana…

Bas ek hasi se apne ashko ko chupaane ka
Jo fan aata hai tumko,wo sikhaado, phir chale jaana…

Wo jo ek wafa hai,vaise to hamaare naseeb me nahi…
Wo wafaa ko mitaado, phir chale jaana,

Jo kehte kehte ruk gaye,wo saari baato ko
Chori chori ek baar sunaado, phir chale jaana…

Na jaane kyu hai,lekin tumhe dekhte rehne ki aadat to hai
Meri ye aadat ek baar chudaa do, phir chale jaana…

Meri ye benaam mohabbat kaa naam bas ek tum ho
Tumhaare jaisa koi doosraa laado, phir chale jaana…

Aakhri salaam…

Sochaa naa thaa hum bhi aisii shaam dekhenge,
Tujh jaise bewafaa ka aakhri salaam dekhenge,
Tut kar chahte rahe tumhe wafa ka naam pe,
Apne aap ko hi ek din tere naam pe tut-te dekhenge…

Saare sapno ko samete rakhaa thaa humne,
Un saari yaado ko ab bikharte dekhenge,
Mohabbat ke bazaar me yu hi ek din,
Apne aap ko hi hum yu nilaam dekhenge…

Sochaa naa thaa hum bhi aise shaam dekhenge,
Tujh jaise bewafaa ka aakhri salaam dekhenge…

Rishte…...........

Jab hume rishte nibhaane aate hi nahi,
Kyaa karoge humse rishtaa jodke…

Bewafaai ka ilzzaam sar liye ghumte hai,
Kyaa karoge wafaa ka ikraar karke…

Chahto ka silsila tut jaata hai baarbar
Tum reh naa jaana kahi intezaar karke…

Chaahenge tumhe hi har pal ye yaad rakhnaa,
Bas aas naa rakhnaa hamaari,hume yaad karke…

Tanhaai apne saath hi liye jaa rahe hai hum,
Tum mehfil ko apnaa lo,unhe aabad karke…

Waada karo kabhi gum naa karoge hamaare jaanekaa,
Yahi ek silaa maangte hai tumse fariyaad karke…

Kal shaam se…

Kal shaam se vo shaqs hume fir yaad aane lagaa,
Dil ne badi muddat se jise bhulaa rakhaa thaa…

Ho gayi nam ye aankhe fir se,
Chalak gayaa pani jo aankho me chupaa rakhaa thaa…

Naadaan se dil pe hui fir se dastak,
Un yaado ki jo seene me dafnaa rakhaa thaa…

Mehsoos hui vahi mehfil ki khanak hume,
Tanhai ne kabse jise apnaa rakhaa thaa…

Nazar aayi hai vahi soorat firse hamaare shaher me,
Jisne shaayad kabhi ye zindagi ko mehkaa rakhaa thaa…

Kal shaam se vo shaqs hume fir yaad aane lagaa,
Dil ne badi muddat se jise bhulaa rakhaa thaa…

Kuch Log Badal gaye hai…

Is Raat Ki…Tanhaayeeon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chaand Nikla Hai Waise Hi
Andhere Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharosay Thi Khushiyaa
Woh Baadal Thahar Gaye Hain
Manzile To Ab Bhi Wohi Hain
Kuch Raste Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosaa Humne
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay The Jo Humne kabhi
Woh Khwab Badal Gaye Hain

Jo Bane The Kabhi Humsafar
Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain
Iss Tute Hue Dil Ke Saare
Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badle Kabhi Hum
Na Badle Humare Khayaalat
Bas Rona Hai Yehi….
KUCH LOG BADAL GAYE HAIN

Nishaani reh jaayegi…

Meri yaado me, ek ankahi kahaani reh jaayegi
kuch palo mai beeti, saari zindgaani reh jaayegi

Kuch palo me chal padungi mai to ek kahaani bankar
Tamaam umar teri nazro mai, ek nishani reh jaayegi

Ye mehfilo ki duniyaa kar jaaungi naam tere
Fir bhi teri zindagi mai ek tanhaai reh jaayegi

Kab talak,apni kalam se khud ko zindagi mai du
panna panna ho jaye, to bhi meri shayri reh jayegi!

Zakhmo ka hisaab to hamesha hi behisaab raha
Kam se kam ek ankh to yah nami de jayegi!!!

Ankho me

Ankhon mey ruka hua koi samunder dekha,
Ashkon mey dhalta Pyaar ka Mausam dekha…

Har aah ko samet kar apne dil mey panaah di,
Har lafaz ko humne apne yun theherte dekha…

Ghabra ke thaam liya humne yaadon ka daaman,
Dil par likhe har ek shabd ko jab mitt-te dekha…

Khwaabon ka ek khuda banayaa saath chalne ko,
Apni Zindagii ko humne jab tanhaa guzarte dekha…

Patthar samajh kar khud ko khaamosh ho gaye, aur
Lamhe-dar-lamhe khudko moum sa pighalte dekha…

Aansu jab bhi…

Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye, aap hume kitnaa yaad aate hai….

Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye, aap hume kitnaa yaad aate hai….
aaj bhi patthar bankar khade hai usee mod par,
tumne jahaa chodaa thaa kehkar, ruko hum aate hai…

Yaad hai ab bhi hume,tere bichadne ka samaa,
Ruk gaye the ek pal ko ye zameen-o-aasmaan,
Raasto se mit naa paaye, tere kadmo ke nishaan,
Aaj bhi hum raaho pe palko ko bichaate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….

Meri aankho me nami zulfo ki barsaato ki hai,
Meri saanso me mehek guzri hui raato ki hai,
Mere hoto pe chamak,ab bhi teri baato ki hai,
Jitnaa unko bhulaana chaahe,aur bhi yaad aate hai
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….

Tu nahi to kyaa huaa,parchaai teri mil gayi,
Dilke viraaneme jaise ek kali si khil gayi,
Raasteki dhoop jaise chandni me dhal gayi,
Tere aanchal ke saaye baadal banke lehraate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….

Aansu jab bhi palkose behkar aate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Aaj bhi patthar bankar khade hai usee mod par,
Tumne jahaa chodaa thaa kehkar,ruko……….

Mujhe yaad kijiye…

Kabhi subah se kabhi sehar se pyaar karti thi,
Muddate hui ek shama yaha jalaa karti thi…

Kyaa baat hui ki aaj sare-shaam band ho gayi,
Ek khidkee jo kabhi subah tak khulaa karti thi…

Simat-ta hai dil kyu ab ki baar is toofan me,
Garajte they baadal,bijli pehle bhi giraa karti thi…

Kuch qasoor-e-kismat ka hai varnaa,
Naa-umeedi is dil se door hi rahaa karti thi…

Khataa meri hai jo duniyaa se dil lagaa baithe,
Ye kambaqht zindagi pehle kab kisise wafaa karti hai…

Hum kaash ye keh sakte “Mujhe yaad kijiye”,
Kabhi meri yaad jinki dhadkan hua karti thi…

Dekho aaj hum un ki duniyaa me shaamil hi nahi,
Jin ki duniya kabhi humse huaa karti thi….

Kaho na…

Soona.. Soona mann ka aangan
dhunde payal ki woh chann chann
sooni..sooni mann ki sargam
dhunde geet tere humdum

mann shyam ho ya sawera
lagaa teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kaahe ko mu moda
kaho na kaho na kaho na

kaise kaate sooni raatein
kaho na..kaho na

kaise bhoolein bite baatein
kaho na..kaho na

kaise thame phir tera daaman
kaise meheke mann ka ye aangan
kaise bhoole preet teri saajan
kasie baandhen toota ye bandhan

mann shyam ho ya sawera
laga teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kahe ko mu moda
kaho na kaho na kaho na
kaho na…

Milte nahi alfaaz….

Milte nahi alfaaz to kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Kalpana ke baadlo me chahta hu udnaa
“Par” nahi hai mere paas kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Rehtaa thaa banke dhadkan vo shaks jis dil me
Vo dil nahi hai mere paas kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Jiski wafaa ke charche kartaa thaa dino-raat
Usse nahi wafaa ki aas kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Vo aaya banke baadal,barsaa nahi magar
Hothon pe meri uski pyaas kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Milte nahi alfaaz to kis tarah likhu
Gum aaj bhi hai aas-paas kis tarah likhu
Milte nahi alfaaz….

Ajnabi Ajnabi… E.............Ajnabi …

ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….

mehki mehki raate thi,mehke mehke din,
aaj ki ye raat naa jaane kyu ajnabi ajnabi….

chaha humne jinhe apne aap se jyaada,
hamaari chahat aaj unke liye ajnabi ajnabi….

ek hi raah nazar aayi hamesha unki aankho me,
aaj har raastaa lag rahaa ajnabi ajnabi….

haatho ki lakeero se hum jinhe churaa laaye the,
aaj vo lakeere lag rahi ajnabi ajnabi…

aankho me jinki hum rahaa karte the kabhi,
aaj vo aankho me hum ajnabi ajnabi….

har pal apnaa banaake jinhe mehfooz rakhaa humne,
aaj unhone rukh badal liyaa kehke hume ajnabi ajnabi….

ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….

Thursday, July 31, 2008

Agar Wo Bedard Hai To Kya Hua

Wo Agar Bedard Hai To Kya Hua
Usski Berukhee Hai To Kya Hua

Ye Hum Hi Hai Jo Dard Ko Samzhate Hai
Ye Hum Hi Hai Jo Uske Ke Rukh Ko Samzhate Hai

Hue Wo Jab Mujhsay Zuda To Wo Kahne Lage
Rok Sake To Rok Lo Issay Pahle Ke Hato Main Hi na Lage

Raha Dard, Raha Berukhee Or Na Hee Hum Unko Rok Sake
Chal Diye Wo **** Ke Hame, Hum Dekhate Rahe Unhe

Ho Gayi Hasrat Poori Unkee Ke Unke Hato Main Hi Na Lage
Wo Alag Baat Hai Ke Wo Hum Nahin Thay, Hum Unki Na he They.

Wo Chale Gaye Or Hum Apne Dard Ko Samjhate Rahe..
Wo Bedard Hai To Kya Hua Usski Berukhee Hai To Kya Hua
Usski Berukhee Hai To Kya Hua

Ye Hum Hi Hai Jo Dard Ko Samjhate Hai
Ye Hum Hi Hai Jo Uski Yaad Main Aansoo Bahate Hai Aur Dil Ko Samzhate Hai

Wednesday, July 30, 2008

Kuchh Beete Hue Lamho Se Mulakat Hui

Kuchh beete hue lamho

Kuchh beete hue lamho se mulakat hui
Kuchh tute hue sapno se baat hui
Yaad jo karne baithe un tamam yado ko
To aapki hi yaado se shuruat hui

UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE


KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE

KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE

KEHDE KOI UNSE.....
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE.


Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai'
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
 
Home | About Us |Our Services | Contact Us | SEO Package | Privacy Policy | HTML Site Map